Posts

Showing posts from March, 2021

Imam aur hakimo ki kisme

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Ameer ul momineen hazrat Ali as ne farmaya, Rasool e Khuda Mohammad Mustafa sw ki wafat ke bad logo ne 3 qism ke logo ko apna wali aur sar'parast banaya:- Wo alim jo Khuda ki janib se (ilm hasil kar ke) hidayat par hai aur Allah ne use dusro ke ilm se beparwah bana diya hai yani ki use dusro se ilm hasil karne ki koi zaurat nahi hai. jaise ki Alh e Bait as Dusra wo jahil jo alim hone ka dawedar hai jab ki uske pas koi ilm nahi hai. Magar jo kuchh bhi wo janta hai us par hi ghamand karta hai. Duniya ne use dhoke me dal rakha hai aur usne duniya ko dhoke me dal rakha hai. Jaise ki Bani Umayya, Bani Abbas aur tamam zalin hukmran aur unke muqarrar kiye hue mufti aur mohaddis Teesra wo alim jo aise alim se ilm hasil karta hai jo Allah ki taraf se hidayat par hai. yani ki Allah ka muqarrar kiya hua Imam hai.  . Jis shakhs ne bhi alim hone ka jhootha dawa kiya wo halaak ho gaya aur jisne apni taraf se jhuthi hadise banai wo tabah o barbad hua. Hame sir...

Shia Islamic questions and answers in Hindi

  بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Ibteda e Islam me Musalmano ko kis kis se takleef pahonchi?          Ibteda e islam me musalmano ko kuchh kuffar se aur  kuchh mushrikeen se aur fir bad me                 musalmano ke darmiyan munafiqeen se sakht aziyat pahochi.      2. Kya Allah ne hazrat Adam as se qabl koi makhlooq khalq ki thi?          Hazrat Adam as se pehle Allah ne Jinnat aur Nasnaas(insani shakl me janwar jaisi makhlooq) ko khalq kiya tha.In logo ne zameen par bahot khoon reziya aur fasadat barpa kiye. Ye aisi fasadi qaum thi ke Allah ko apne farishte bhejne pade jinhone zameen par aa kar unko barbad kiya aur zameen ko shar o fasad se paak kiya. 3. Wo kaun se kalmaat hain jinki barkat se Allah ne Hazrat Adam As ki tauba qubul ki ?          Wo kalmaat Asma e Panjetan hain yank Mohammad sw, Ali as , Fatima sa, Hasan as, Hussain as...

Hazrat Dawood ke usool par Hazrat Ali as ka ek azeem faisla

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Dawood ke usool par Hazrat Ali as ka ek azeem faisla Ba'riwayat e kitab Man la Yahzar ul Faqih Hazrat Imam Mohammad Baqir as farmate hain ki Jadd e namwar Hazrat Ameerul Momineen as ek din masjid me dakhil hue to mulahiza farmaya k ek shakhs zaro qatar ro raha hai aur kuchh log use samjha bujha rahe hain.  Aap ne puchha k kya bat hai ? Usne kaha k in logo k sath mera bap safar me gaya tha. Ye sab wapas aa gaye aur mera bap wapas nahi aya. Maine in se puchha to inhone kaha k wo raste me faut ho gaya hai. Maine puchha k uska maal o asbab kahan hai to inhone kaha k uske pas kuchh bhi na tha. Jab ki wo kafi paise humrah le ke gaya tha.  Aap ne kaha k tumne qazi ki taraf ruju nahi kiya? Usne kaha k qazi e sharah ki adalat me gaya tha usne inhi logo ke haq me faisla kar diya hai. Hazrat Ali As usko un logo samet le kar qazi e sharah ke pas pahonche aur us se kaha k tumne aise nazuk mamle me kis tarah faisla kiya? Usne kaha k hum ne is jawa...

Ulama e Haq ki Sifat

  بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Ulama e Haq ki sifat  Hazrat Imam Jafar Sadiq as ne Qur'an ki ye ayat padhi, إِنَّمَا   يَخْشَى   اللَّهَ   مِنْ   عِبَادِهِ   الْعُلَمَاءُ yani Ulama sirf wahi hain jo Allah se darte hain. Fir farmaya,                Haqiqi ulama wo hain jinka amal unke qaul ke mutabiq ho. Jinka amal unke qaul ki tasdeeq na kare wo alim nahi. . Yani ki jo log ilm ki bate karte hain lekin us par amal nahi karte wo asal me alim nahi hote. Kyu ki agar wo sach me apni kahi bato ko jante aur mante to un lar amal bhi karte. Aise alim bas maal o dolat hasil karne ke liye hadees aur ulama ke irshadat yad karte hain lekin na use samjhne ki koshish karte hain na amal me lane ki.            Firti hain jahalate na maloom kitni            Kandho par aba e ilm o hikmat dale

Usool e Deen Furoo e Deen

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Usool e deen   Usool e deen 5 hain, Tauheed Adl Nabuwat Imamat Qayamat Usool e deen ka imaan wa iteqad yaqeeni daleel ke sath har baligh wa aaqil insan par wajib hai. Is mamle me kisi taqleed ya gumaan par aitamad karne ki gunjaish nahi hai.                              Tauheed Tauheed k maani ye hain ki Khaliq e kayenat ke wajood aur uski yaktai aur uski sifaat e sabootiya wa salbiya ka ayteqad paida kiya jaye.  Sifaat e sabootiya:-           Wo sifaat hain jo Khuda me paye jate hain jaise ki ilm wa qudrat wagairah... Sifaat e salbiya:-            Wo sifaat hain jo usme nahi paye ja sakte jaise ki jism makaan wagairah...                                        Adl Adl yani is bat ka ayteqad paida karna ki Khuda Adi...

ummul baneen ki beti ka kya naam hai

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Ummul Baneen ki beti ka kya naam hai? Ummul Baneen ki beti ka naam Ruqayya binte Ali as hai. 

Aadmiyo ki qisme

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Admiyo ki qimse Hazrat Imam Jafar Sadiq as se riwayat hai ki,            Admi 3 qism ke hote hain. Alim Talib e ilm Bekar saman Yani ki wo jo na alim ho na ilm hasil karne wala ho ek bekar saman ki tarah hota hai. .           Imam Jafar Sadiq as se riwayat hai ki,           3 me se 1 bano Ya to alim bano Ya talib e ilm bano Ya ilm walo se mohabbat karne wale bano 4thi qism ke log na bano jo ahl e ilm se dushmani rakhne ke sabab halaak ho jaenge.

Alim ka martaba

  بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Ilm sikhane wale ka martaba:- Hazrat Imam Jafar Sadiq as se riwayat hai ki,               Jis kisi ne bhi kisi ko ilm sikhaya aur usne us par amal kiya to sikhane wale ko bhi amal karne wale ke barabar ajr milega. Sawal:-             Agar wo sikhne wala bhi kisi dusre ko wo ilm sikhaye to? Imam Jafar Sadiq As ne farmaya,              Agar wo sikhne wala tamam insano ko bhi sikhata rahega to bhi yahi surat rahegi yani use pehle sikhane wale ko uska ajr milta rahega. Har amal ka sawab us sikhane wale ko milta rahega. Sawal:-            Agar pehla sikhane wala mar jaye aur dusra uski taleem logo ko yad dilaye to bhi pehle sikhane wale ko sawab milta rahega? Imam Jafar Sadi q As ne farmaya,            Agar pehla sikhane wala mar bhi jayega tab bhi usko un logo ke amal ka sawab milta rahega ...