Namrood kaun tha
Namrood Kaun Tha? Namrood Babil (Babylon) ka badshah tha. Wo duniya ka azeem tareen badshah tha. Usne Khuda'ii ka daawa kiya aur sari duniya par ye sabit karne ki koshish ki wahi KHuda hai aur uske siwa dusra koi 'Mabood ' nahi hai Mu'arrikhin (historians) ke mutabiq aaj tak duniya par sirf 4 logo ne hi hukumat ki hai jin me se 2 Musalman aur 2 Kafir the. Musalman me , 1. Hazrat Zulqarnain as 2. Hazrat Sulaiman as Kafir me, 1. Namrood 2. Bakht Nasar Namrood ki Shahi aur uski Shaan o Shaukat Namrood roo e zameen par hukumat kar raha tha aur bawajood iske ke wo kafir tha aur apne baap aur dada ki tarah 'but parasti' karta tha lekin apni ri'aaya ke sath insaaf karta tha aur unki khush'haali ke liye apni taraf se koshish karta rehta tha. Shaitan jo shuru se hi insano ka dushman hai usne namrood ke dil o dimag me fitna dalna shuru kiya aur use behkane laga ki jiski itni azeem saltanat ho use is baat ka haq hai ke log uska sajda kare aur uske aage apni peshan...