Posts

Showing posts from May, 2021

Jannat ki zamanat (Waqiya Imam Jafar Sadiq as)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ  Jannat ki zamanat Ali ibne Abu Hamza bayan karte hain ki mera Bani Umaiya ke drbar me mulazmat karne wale ek shakhs ke sath uthna baithna tha. Ek din wo mujhse kehne laga, " Main Imam jafar Sadiq as se milna chahta hu tum is silsile me ijazat hasil kar lo." Ijazat hasil karne ke bad jab main use le kar Imam Jafar Sadiq as ke pas pahocha to salam ke bad usne kaha, " Qurban jau! main Bani Uamiya ke darbar me mulazamat kiya karta tha. Waha maine kafi miqdar me duniyawi maal o daulat hasil ki aur is silsile me maine halal o haram ko koi parwah nahi ki." Uski ye baat sun kar Imam jafar Sadiq a ne irshad faramaya, " Agar log unke darbar me daftari kaam kar ke maal e ghanimat jama kar ke aur unke dushmano se lad kar Bani Uamiya ka sath na dete to wo labhi bhi hamara haq ghasab nahi kar sakte the aur agar log Bani Umaiya ko usi halat me chhod dete jis par wo the to unhe mazeed kuchh maal o daulat hasil nahi hota." Fit usne puc...

Hazrat Adam as

                              بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Adam As Hazrat Adam as ke jism ki tameer:- Muarrikhin ka bayan hai ki jab zameen par hukumato ke mukhtalif daur guzar chuke aur aakhir me jinn aut nasnaas ko khatm karne ke bad azazeel ba'riwayat e Tabri e1000 saal hukumat kar ke ananiyat me mubtila ho kar apna bhanda fod baitha to Khaliq e Kayenat ne apne farishto ko mukhatib kar ke kaha, "Ab main apna khalifa apnee hatho se bana kar zameen par bhejunga aur use aisa qarar dunga ki usi ki nasl se Aimma, Rasool aur Ambiya paida honge aur uski beshumar aulad hongi. Main usi ke zariye se nasl dar nasl nizam e arzi ko chalaunga aur jinn aur nasnaas ko satah e arz se utha kar hawa aur faza me faila dunga. Aur jinn aur Adam ki aulad ke darmiyan ek aisa parda jo unhe nazar nawaz bhi na hone dega .Khaliq e kayenat ke is elaan ko sunne ke bad farishto ne apna sar isliye tasleem kar liya kyu ki ...

Chor sufi aur mamoon

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ  Chor sufi aur mamoon Mohammad ibne sinan bayan karte hain, Main Khurasan me apne Maula Imam Ali Raza as ki khidmat me tha aur Mamoon ne aapko apni dayi janib bithaya hua tha. Ittefaqan usi waqt Mamoon ko khabar di gayi ki ek sufi ne chori ki hai. Mamoon ne use apne darbar me talab kiya.Usne dekha ki wo nek aur muattaqi logo ka libas pehne hue hai aaaaaaaaur peshani par sajde ka nishan hai. . Mamoon ne kaha, " Afsos! itni achi surat shakal aur is par chori jaisa bura kaam!" Sufi ne kaha, " Maine ye kaam majburan kiya hai. Ye amal isliye mujh se sarad hua kyuki tune khums aur maal e ghanimat me se mujhe mera haq nahi diya." Mamoon ne kaha, "Tumhara khums aur maal e ghanimat me kya haq hai?" Sufi ne bataya' " Khuda ne khums ke 6 hisse karte hue Surah Anfal ki 41wi ayat me irshaad farmaya hai ki, " Aur jaan lo jo kuchh tum ghanimat lo uska 5wa hissa makhsoos hai Khuda, Rasool sw, Rasool ke qarabat daro, yatim...

Mazhab aur la'mazhabiyat

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ  Mazhab aur la'mazhabiyat Bachcha jis chiz ko dekhta hai usi ki taraf lapakta hai use ene ke liye. Use nahi maloom hota hai ki kya chiz achi hai aur kya chiz buri hai. lekin us bachche ke maa bap use use un chizo ke liye mana karte hain jo buri hain chahe wo bachche ko achi hi kyu na lagti ho. Aur un chizo ke lene hukm karte hain chahe jo unke liye achi ho chahe wo bachche ko buri hi kyu nahi lagti ho. Isi tarah Khuda ne apne bando ko mazhab ke zariye achi aur buri baate batai hain kyuki bande sab chizo ki achai aur burai ko nahi jante hain.Mazhab hame achai aur burai ka farq wazeh kar ke batata hai. Neki karne ke hukm deta hai aur burai se rokta hai. Duniya me jo tamam log baste hain unme se kuchh to maazhab ko mante hain kuchh nahi. Jo log mazhab ko mante hain wo bhi kayi tarah k hote hain aur jo log mazhab ko nahi mante wo bhi kayi tarah ke hote hain. . Musalman:- Musalman yani tauheed, risalat aur qayamat ka iqrar karne wale. Kafir:- Kafir y...

Ek sharabkhor (Hazrat Ali as ke faisle)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ   Ek Sharabkhor Ek martaba ek shakhs ko darbar e khilafat me hazir kiya gaya k is shakhs ne sharab pi hai is par had jaari ki jaye. Abu bakar ne had jari karne ka hukm de diya.  Is shakhs ne kaha theek hai maine sharab pi hai lekin main sharab ke haram hone ko nahi janta tha aur jis gharane me meri parwarish hui hai wahan log isko jayez samajhte hain aur aaj tak mujhe hurmat e sharab ka hukm nahi maloom tha. Abu bakar ne jab ye sab suna to pareshan hue aur sochne lage ab kya hukm laya jaye. Darbari ulama se se poochha gaya sab lajawab ho gaye. Bil'aakhir Hazrat Ali as ko bulaya gaya. Aap aaye aur sara masla aapke samne rakha gaya. Aapne hukm diya k is aadmi ko do aadmi le kar muhajir wa ansar ke pas le jaye aur maloom kiya jaye k kya kisi ne ise hurmat e sharab ke bare me bataya hai ya nahi? Hurmat e sharab wali Ayat sunai hai ya nahi? Agar do gawah mil jaye to had jari ki jaye agar na mile to chhod diya jaye. Do afrad use le kar chale, mag...

Baitul maal ki taqseem ke chand waqeyat

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Baitul maal ki taqseem ke chand waqeyat  Thandak ka libas:- Haroon bin antarah apne baap se naql karta hai ke ek din main Hazrat Ali as ke khidmat me hazir hua, thandak ka mausam tha. Hazrat Ali as ek mamooli sa kambal odhe baithe hue the aur thandak ki shiddat se kanp rahe the maine arz kiya ke maula baitul maal me sabka haq hai, aap baitul maal se koi garm kapda kyun nahi le lete? Aapne uske jawab me farmaya ayy Antarah ye kambal bhi maine baitul maal se nahi liya balki ye meri zaati milkiyat hai jise main Madine se le kar aya tha. Kal ke bare me kise maloom:- Hilal bin muslim naql karte hain k ek din asr ke waqt kuchh maal aya. Imam as ke sahabi ne usko baitul maal me rakh diya, Imam Ali as ne farmaya ke isko taqseem kar do. Apke sahabi ne kaha Maula raat ho rahi hai kal tak ke liye intezar kar lijiye taqseem kar diya jayega. Imam Ali as ne farmaya k kise maloom ki kal kaun zinda rahega? Mumkin hai jiska haq ho wo aaj rat hi mar jaye ya main ...

Nasihat karne wale ko nasihat

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Nasihat karne wale ko nasihat Aaqa Noor apni kitab darussalm jild1 pg no 247 par buzurg aalim wa zahid sayyed Hashim Bahrani ke hawale se likhte hain, Najaf e ashraf me ek itr farosh raha karta tha. Wo rozana namaz e zohar ke bad apni dukan par waaz o nasihat kiya karta tha. Uski dukan par hamesha logo ki bheed lagi rehti thi. Najaf me muqeem ek Hindustani shahzade ko jab safar darpesh aya to usne intehayi qeemti qism ke heere jawahrat apne sandook me bhare aur nasihat karne wale usi itr farosh ke pas ba'taur e amanat rakh kar rawana ho gaya. Kuch arse bad jab wo safar se palat kar aaya aur apni amanat talab ki to itr farosh ne saaf inkar kaar diya! Ye sun kar wo hindustani shahzada hairan o pareshan ho gaya. Aur bil'akhir Hazrat Ali as ke rauza e aqdas par ja kar dua ki aur yun goya hua, "Ya Ali as maine  aapke pas rehne ki khatir apna watan aur tamam zahiri aish o aaram chhoda hai. Mere pas jo kuchh bhi tha use maine falan itr farosh ...

Imam Musa Kazim as aur ek rahib

  بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hazrat Imam Musa Kazim As ka ek Rahib ke sawal ka jawab dena aur uska musalman hona . Muarrikh khawind shah hirwi apni mashhoor tarikh Rauzat us Safa me tehreer farmate hain ki jis zamane me Hazrat Imam Musa Kazim as ke badshah e waqt sakht mukhalif tha aur aap apne dushmano ki wajah se poshida the. Ek din sham me ek gaon se guzar rahe the wahan dekha k bahot se admi ek pahad par chadhe ja rahe hain.  Aap unke qarib gaye aur un logo se puchha k is oahad par kya hai k tamam log is par ja rahe hain. Logo ne bataya ki is pahad par ek aise "Rahib" rehte hain jo saal me sirf ek bar hi bahar nikalte hain aur shariyat e Musa as ke mutabiq halal o haram ki taleem dete hain aur jo Isai kisi mushkil me mubtila hota hai use nijat dilate hain. Imam Musa Kazim as ne jab ye suna to aapne bhi us pahad par jane ka faisla kiya aur sab logo k sath waha chale gaye. Wahan pahoch kar aapne dekha ki ek nihayat hi zaeef shakhs ek baland maqaam par baith...

Hasad karne wala chief justice

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Hasad karne wala chief justice   Imam Mohammad Taqi as ke zamane me runuma hone wala ye waqiya tawajjoh se sunne ke qabil hai Is zamane me mutawakkil Abbasi ka chief justice Abu Laila khilafat ke tamam qanooni amoor jo ki islami kehlate the anjam diya karta tha Ek din chief justice jab apne dukandar padosi dost Zarqa ke ghar aya to khasa pareshan tha. Zarqa ne poocha, Chief Justice sahab aap itne pareshan kyu hain? Chief Justice ne kaha, Kya tum sun sakoge ke aaj Khalifa ke darbar me mujh par kitni badi musibat tuti hai? Ek chor ko laya gaya uska jurm sabit ho chuka tha aur ab had jari karne ka mamla tha. Mujhse Khalifa ne poochha k iska hath kahan se kata jaye? Maine kaha k Quran Majeed me Khuda Wande Alam irshad farmata hai ki chor ka hath kaat dalo. Aur wazu ka hukm bayan karne wali Ayat me hai ki kohniyo se le kar pura hath dhona chahiye.  Lihaza maloom hua ke iska hath kohniyo se kata jayega. Khalifa ne darbar me maujud dusre judge se ...

Hazrat Ali as ke naam par qarz

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ  Kitab Kalma Tayyab me hai ke Ibrahim ibn Mehran bayan karte hain ki Kufe me ek mere pados me ek shakhs rehta tha jiska nam Abu Jafar tha. Wo bade ache akhlaq ka malik tha aur logo ke sath bade ache salook se pesh ata tha.  Jab koi Alvi Sayyed uske pas aa kar koi khwahish karta to wo uski farmaish puri kar deta tha. ye raqam wo sehme saadat se ada karta tha aur agar sadaat ka ye hissa na hota tha to wo apne ghulam se kehta Ye raqam Ali ibn e Abi Talib ke naam ba'taur e qarz likh lo. Isi tarah kafi arsa guzar gaya aur abu jafar tangdast aur pareshan haal ho gaya. ab ye tanha apne ghar me baitha hua dikhai deta tha. apni zaruriyat e zindagi puri karne ke liye usne register dekhna shuru kiya aur jis jis ko bhi qarz diya tha unka jayeza lene laga. Qarz lene wale afrad me se baaz aise the jinka inteqal ho gaya tha lihaza unke naam usne register se kaat diye. Aur jo zinda the unke pas aadmoi bhej kar raqam wapas talab kar ke apna waqt guzarne lag...

सूरह कुरैश की फजीलत बताएं/ Surah Quraish ki fazilat bataye

  بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Surah Quraish ki fazilat:- Surah Quraish Quran majeed ki 106 number ki Surah hai isme kul 4 ayat hain. Surah Quraish ke mut'alliq Rasool e Khuda sw ne irshad farmaya hai ki jo shakhs bhi Surah Quraish ki tilawat karega Khuda wande alam use 10 nekiyo ke barabar sawab dega . Imam Jafar e Sadiq as ne manqool riwayat hai ki Surah Quraish ki ba'kasrat tilawat karne wale shakhs ko Khuda wande alam ba'roz e qayamat is tarah rakhega ki wo ek bahishti sawari par sawar hoga, yahan tak ki noor ke dastarkhwan par ja baithega. Deegar riwayat me ye bhi aaya hai ki Surah Quraish dil ki bimariyo aur ghiza ke zahrile asraat ko door karta hai.

Quran me sabse pahle kaun se janwar ka naam aya

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Q. Quran me sabse pahle kaun se janwar ka naam aya? Ans. Quran me sabse pehle machchhar ka naam aya.

Khauf ke sabab zina ka iqrar (Hazrat Ali as ke faisle)

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ Khauf ke sabab zina ka iqrar Khalifa e dom ke zamane me ek hamila aurat ko darbar me laya gaya. Khalifa ne poochha kya tu zina ki murtakib hui hai? Is aurat ne Khalifa se dar kar iqrar kar liya aur Khalifa ne sangsari ka huk de diya.  Jab isko had jari karne ke liye le chale to raste me Hazrat Ali as mil gaye aapne sawal kiya is aurat ka jurm kya hai? Logo me bataya ki zina ka jurm sabit ho gaya hai aur Khalifa ne had jari karne ka hukm diya hai. Hazrat Ali as ne kaha isko wapas le chalo. Aapne Umar se poochha kya tumne is oar had jari karne ka hukm diya hai? Umar ne kaha haa mere nazdik iska jurm sabit ho gaya hai. Hazrat Ali as ne farmaya beshak tu hakim hai aur is aurat par haq e hukumat rakhta hai lihaza is aurat ko saza de sakta hai magar wo bachcha jo iske pet me hai us par tera koi haq nahi hai na us oar hukumat hai na had jari karne ka haq hai. Iske bad Hazrat Ali as ne Umar se kaha kahin aisa to nahi ke tune iqrar karane ke liye isko da...